Friend’s pichle post me humne sikha ki Youtube par video upload kaise karte hai computer or Laptop se aur ess post me hum jaanenge ki YouTube par mobile se video upload kaise karte hai. Software Company Google ne hi Youtube ke liye ek Android App banaya hai, jiske jariye hum aasani se apne mobile pe Youtube par video dekh sakte hai, jo bhi video hamein pasand hai use offline me saved kar sakte hai.
Agar aapke Android Mobile me youtube App nahi hai to aap Playstore me ja kar, apne Android Mobile me Youtube App ko install kar sakte hai. Agar aap Youtube App Ko Install Karna Chahte Hai to YouTube App pe click karke download kar le.
Jab aap apne Android Mobile me Youtube App Ko Install Kar Le, uske baad kya karna hai iske liye aap mere steps ko follow kare:-
- YouTube Videos Ko Blogger Blog Post Me Kaise Add Kare
- YouTube Monetization Ko Enable Kaise Karte Hai
Step 1: Agar aap apne Android Mobile se Youtube par Video upload karna chahte hai to sabse pahle aapko apne youtube pe sign in hona padega. Youtube pe Sign in karne ke liye aap sabse upar me 3 dots najar aa rahe honge us par click karna hai fir aapko sign in ka options najar aayega us par click kare.
Step 2: Jaise hi aap Sign In ki options par click karte ho aapke paas apka ek account open ho jayega, us account me se aap choose kar le ki kis account se aapko youtube pe login hona hai ho jaye ya agar aapke paas Youtube ke liye aur bhi dusra account hai to Add account par click karke aap apna account id daalkar sign in ho sakte hai.
Step 3: Jaise hi aap Sign In Karenge aapke upar 3 line ki button najar aayenge us par aap click kar do, uske baad aapke samne ek Upload ka icon aayega us par click kar de.
Step 4: Ab aap apna video upload karna chahte ho to upar me aap dekhoge ki ek Upload ka Icon najar aayega us par click kare.
Jab aap pahli baar aap apne video ko Android Mobile se upload Karoge to aapke samne ek Settings ka page khulega. Us Settings me aapko ye choose karna padega ki aapko jo video upload karna hai wo ki network ke jariye karni hai. Agar maan lo aapke mobile me data bahut kam hai to aap waha pe wifi select kar sakte ho, kyunki agar aap wifi select karte ho to aapka mobile data bachega.
Step 5: Ab jakar aapko jis video ko upload karna hai us video ko mobile phone me select kare, uske baad apka video upload hone lagega.
Step 6:
(1) Uske baad aapko apne video ki puri jankari deni padti hai.
(2) Yaha pe apko apne video ka title dena hai, iska matlab hua ki aap apne video ka naam daal sakte hai
(3) Yaha pe aap apne video ki puri details likh sakte hai ki aapke video me kya hai aur kis baare me hai.
(4) Yaha pe agar app apne video ko agar private rakhna chahte hai to rakh sakte hai, kyunki agar aap apne video ko private rakhtey hai to aapke video ko koi nahi dekh sakta.
(5) Yaha pe aapko apne video ka tags daalna padega. Aap jo tags daloge wo aapke video se related hoga, isme har sabd ke anth me ek comma (,) daalna padega.
(6) Jab aap puri details ko daal de to uske baad Next ki button par click kar de.
Step 7: Uske baad aapka video upload hona suru ho jayega, uske baad aap apne video ko dekh sakte hai.
Friends, ess post me humne aapko bataya YouTube par mobile se video upload kaise karte hai, agar aapko hamara yah post pasand aaya ho toh aap bhi hamare post ko like and share karke kisi ki help kar sakte hai. Thanks for Readings.